📿 Join Naat Group

← All Naat Lyrics

Khushi Mein Jhoome Hain Kaba Ali Aaye Hain Kabe Mein

ख़ुशी से झूमे है काबा अली आए हैं काबे में
हर एक सू शोर है बरपा अली आए हैं काबे में
हैदर हैदर हैदर हैदर हैदर

नचायेंगे जिस उंगली से वो उंगली याद आई है
हिला ख़ैबर का दरवाज़ा अली आए हैं काबे में
हैदर हैदर हैदर हैदर हैदर

मुसलसल तीन दिन तक आंख ही खोली ना मौला ने
न जब तक आका को देखा अली आए हैं काबे में
हैदर हैदर हैदर हैदर हैदर

गिरी शैतानियत है मुंह के बल कहती हुई यारो
हमारी जान का ख़तरा अली आए हैं काबे में
हैदर हैदर हैदर हैदर हैदर

है फ़त्हे मक्का का दिन ख़ौफ़ में कुफ्फार सारे हैं
है लर्जा लात और उज्जा अली आए हैं काबे में

ना’त-ख़्वॉं:
सय्यद शजर अली

Khushi Se Jhoome Hai Kaaba Ali Aaye Hain Kaabe Mein
Har Ek Soo Shor Hai Barpa Ali Aaye Hain Kaabe Mein
Haider Haider Haider Haider Haider

Nachayenge Jis Ungli Se Wo Ungli Yaad Aayi Hai
Hila Khaibar Ka Darwaaza Ali Aaye Hain Kaabe Mein
Haider Haider Haider Haider Haider

Musalsal Teen Din Tak Aankh Hi Kholi Na Maula Ne
Na Jab Tak Aaqa Ko Dekha Ali Aaye Hain Kaabe Mein
Haider Haider Haider Haider Haider

Giri Shaitaaniyat Hai Munh Ke Bal Kehti Hui Yaaro
Hamari Jaan Ka Khatra Ali Aaye Hain Kaabe Mein
Haider Haider Haider Haider Haider

Hai Fathe Makka Ka Din Khauf Mein Kuffar Saare Hain
Hai Larza Laat Aur Uzza Ali Aaye Hain Kaabe Mein

Naat-Khwaan:
Syed Shajar Ali