Duniya Mein Jo Rivaaj Chala Hai Jahez Ka
दुनिया में जो रिवाज चला है जहेज़ का
एक ज़ुल्म ये रिवाज बना है जहेज़ का
मुख़्तारे कायनात है आका मेरे मगर
सामान मुख़्तसर सा दिया है जहेज़ का
पूछो किसी ग़रीब से देगा वह किस तरह
तुम ने मुतालबा जो किया है जहेज़ का
रोती है बेटी देख के मां बाप का चेहरा
दिल पे जो उनके बोझ रखा है जहेज़ का
जिस के लिए ज़मीन बिके क़र्ज़ ले कोई
ऐसा चलन बहुत ही बुरा है जहेज़ का
रातों को नींद आती नहीं है ग़रीब को
ताहिर ग़म उस को ऐसा लगा है जहेज़ का
ना’त-ख़्वॉं:
ताहिर रज़ा रामपुरी
Duniya Mein Jo Riwaaj Chala Hai Jahez Ka
Ek Zulm Ye Riwaaj Bana Hai Jahez Ka
Mukhtare Kainaat Hai Aaqa Mere Magar
Saamaan Mukhtasar Sa Diya Hai Jahez Ka
Poochho Kisi Ghareeb Se Dega Woh Kis Tarah
Tum Ne Mutaalba Jo Kiya Hai Jahez Ka
Roti Hai Beti Dekh Ke Maa Baap Ka Chehra
Dil Pe Jo Unke Bojh Rakha Hai Jahez Ka
Jis Ke Liye Zameen Bike Qarz Le Koi
Aisa Chalan Bahut Hi Bura Hai Jahez Ka
Raaton Ko Neend Aati Nahin Hai Ghareeb Ko
Tahir Gham Us Ko Aisa Laga Hai Jahez Ka
Naat-Khwaan:
Tahir Raza Rampuri
